Dil main tou tere main rehti hun,
Par dil yeh tera tere paas nahi.
Khayal main ane se tere ro deti hun,
Raat din yaad kerna tujhe ab raas nahi.
Phool, barish, baharain dekhti hun,
Ab mere liye yeh sab khaas nahi.
Jis pal main, main tere saath hun,
Us pal main, main udaas nahi.
Tere sung jeene ki duaen karti hun,
Tere bagair is zindagi ki aas nahi.